New Recipes

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Kitchen IRANI

BREAD PAKODA 🍞




* Pakoda👇 Ingredients :

1) Bread
2) Besan
3) Khane ka Soda

* Pakode ki Chatni👇 Ingredients :
 
1) Ubale Aalu
2) Rai
3) Jira
4) Oil
5) Namak
6) Haldi
7) Mirch Powder
8) Ajvain
9) Chat Masala
10) Matar
11) Hara Dhaniya
12) Pyaj
13) Lahsun
14) Kadi Patta
15) Maida


                                                      Hello Everyone Aaj Hum Banayenge Bread Pakoda.



* Sabse Pehle Hum Pakode ki Chatni Bana Lenge uske liye Kadhai Garam Karne ke Liye Rakh denge aur

* Kadhai Garam Hone ke baad usme 2 Tea Spoon Oil Dalenge.

* Tel Acchhese Garam Hone ke baad Usme Rai Dalenge.

* Thoda Jira aur Lahsun Pis ke Dalenge.

* Kadhi ke Patte dalenge.

* Pyaj Aur Bread Pakoda Spicy hone ke liye 1 Tea Spoon Lal Mirch Dalenge.

* Color aane ke liye 1 Chota Chammach Haldi, Taste ke Liye Swadanusar Namak Aur

* Matar, Aur Chaat Masala Dalke ise Acchese mix kar Lenge.

* Mix Hoe ke baad Smash kiye hue Aalu Dalke Mix karenge.

* Chatni ko aur Swadishtt Banane ke liye Uparse Hara Dhaniya Dalenge.

* Thanda Hone ke liye 1 Dish me Nikal Lenge.

* Ho gyi hai Pakode ki Chatni Tayyar.

* Ab Bread ko Fry karenge uske liye 1 Bade Bowl me 1 Katori Besan Lenge.

* Aadha Chammach Khane ka Soda.

* Ajvain, Swadanusar Namak Aur Pani Dalenge.

* Ise Thoda Patla Banana hai jisse ki Bread isme Dub Sake

* Tabtak 1 Kadhai me Tel Garam hone ke liye rakh denge.  

* 1 Bread par Aalu ki Chatni Lenge Aur Dusra Bread uske upar rakhenge

* Bread ko Besan ke Mishran me Acchese Dubona hai.

*  Tel Garam hone ke baad, Garam Tel me Ise Fry Kar Lenge.

* Brown Color Aane ke baad ise 1 Dish me Nikalna Hai.

* Ho Gya hai Garma Garam Bread Pakoda Khane ke liye Tayyar.


Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana. 


                                                                          Thank You











Post a Comment

0 Comments