New Recipes

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Kitchen IRANI

GULAB JAMUN

 



Ingredients :

1) Gulab Jamun Packet

2) Milk

3) Sugar

4) Elaichi

                                              Hello Everyone, Aaj Hum Banayenge Sweet Gulab Jamun.


• Sabse Pehle Hum Paak bana lenge. 

• Iske liye Pan Garam Karne Ke Liye Rakh Denge, 

• Usme 1 Badi Katori Sugar dal denge aur Sath hi me usme Pani dalenge. 

• Elaichi barik kutke pani me dalke ise 10 min ubal lenge.

• Jab tak ise ubad aata hai tab hai hum Gulab Jamun ka Packet se Jamun ke liye Balls bana lenge. Toh chaliye balls banate hai. 

• Ek badi plate me Jamun ka Powder lenge aur isme thoda thoda Dudh dal kar Ise Gund Lenge. 

• Dudh Thoda Thoda hi dalna hai, ek baar me nahi dalna hai. 

• Toh ab Balls banane ke liye ready hai toh chaliye balls banate hai, 

• Choti choti size me hi balls banana hai nhi to ye talte time fut jate hai. ise thoda bhi crack na jaye iska dhyan rakhna hai.

• Jab tak balls ban ke ready hote hai tab tak Paak acchhese bana lenge, 

• Paak ko jada patla nhi banana hai. thoda gadha karna hai. 

• Paak tayar hone ke baad Tel Garam karke lenge.

• Tel Garam hone ke baad Balls ko Tel me dalna hai. 

• Balls ko acchhese Brown hone dena hai, iske liye continue Jamun ko Ulta karna hai. 

• Balls Brown hone ke baad iska tel nikalkar turant Paak me dalna Hai.

• Paak me 1 Ghanta rakhna hai taki isme Paak Puri tarah andar utar jayega aur Jamun ka jo Tase hai vo Ubhar ke Aayega.

• Toh Ho gye hai Sweet Gulab Jamun Khane ke liye Tayyar.

Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana. 


                                       Thank You

Post a Comment

0 Comments