Ingredients :
• Tarbuj
• Shakkar
• Ice Cubes
• Chat Masala
• Pudina
Hello Everyone, Aapka Swagat hai Kitchen IRANI Channel me. iSs tapti Dhup me thanda pine Ka man kare Toh 5 min me Tayyar kare Tarbuj Sarbat. Jo pine ke liye Tasty bhi Hai aur ise pine se aapki thakan bhi dur ho jayegi.
* Tarbuj Sarbat banane ke liye Sabse Pehle Tarbuj ko Cut Karke, Uske pieces banake Grinder me Dalenge.
* Tarbuj ke bij abhi nhi nikalenge kyun ki hum ise baad me channi se channe hi wale Hai.
* Tarbuj me lgbg 95% tak Pani hota Hai Toh ye Dhup me sharif ki water level ko maintain rakhta Hai aur Tarbuj Khane se Khun bhi bdhta Hai
* Tarbuj ke Pieces dalne ke baad hum isme Chat Masala dalenge. Chat Masala Sarbat ko ekdm tasty banata Hai aur
* Thodi Shakkar, Shakkar jyada nhi dalna Hai kyun ki Tarbuj pehlese hi mitha hota Hai Toh jyada mitha na ho isliye.
* Aur Kuch Pudina ke patte taki Iska Swaad aur smell dono ubharke aa Jaye
* Ab ise Grind Kar Lena Hai. Acchese Grind Karna Hai taki Tarbuj ki Gutliya na rahe aur Pura Barik ho Jaye.
* Acchese Grind hone ke baad ise Channi se Chan Lenge taki Tarbuj Ka Jo paste Hai o muh me na as Jaye
* Ab Sarbat ko GlaSs dalna Hai aur Usme 2 ice cube dalke aur 2-3 patte Pudina ke Garnishing ke liye taki pine me aur Maja as Jaye.
* Ho Gaya Hai Thanda Thanda Tarbuj Ka Sarbat pine ke liye Tayyar.
* ISs Lockdown me bahar na Jaye, aur Thanda Thanda Tarbuj Ka Sarbat Ghar Pe hi banakar piye.
Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana.
0 Comments
Please Do Not Enter Any Spam Link in the Comment Box