New Recipes

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Kitchen IRANI

AAM KA JAM

 


Ingredients :

Kaccha Aam
• Namak
• Shakkar
• Mirch Powder
• Haldi Powder

                                       Hello Everyone, Aapka Swagat hai Kitchen IRANI Channel me. Aaj Hum Banane Wale Hai Kuch Teekha, Kuch Meetha, Aur Chatpata Kacche Aam Ka Jam. Sunn ke hi Muh me Pani Aagayana. Kaccha Aam Sabko hi khana Pasand Hai, Mango Chatni, Mango Pickle Hum Sabne Khaya Hai Lekin Aaj Hum Try Karenge Mango Jam. To Suru Karte Hai.

* Sabse Pehle Kairi ko Acchese Dho Lenge Taki ispe Dhul Mitthi na rahe.

* Aam ko Clean Karne ke baad Aam ki Jo Uparwali side Hai Usko Cut Karna Hai.

* Ab Badi Kisnise Aam ko Crush Karna Hai. Chapti Kisni bhi chalegi Lekin Choti Kisni se ekdam Patla Hota Hai. Isliye

* Kacche Aam me "Vitamin C" hota Hai Jo Human Body ki Immunity ko badhata Hai.

* Khatta hone ki vajah se ise Khane me Maja aata Hai.

* Kacche Aam me Calcium Aur Fiber ke gun Apple se bhi Jada hote Hai. Isliye Aam ke Session me ise Jarur Khana Chahiye.

* "Vitamin C" hone ke Karan Kaccha Aam Khane se Jakham Jaldi Bharr Jata Hai.

* Jinhe Muh ke Smell ki Problem Hai unke liye Kaccha Aam Bohot Faydemand Hota Hai.

* Kacche Aam ko Barik Crush Karne ke Baad Isme 4 Tspn Shakkar Mix Karna Hai aur Ise 1 hour ke liye Rest ke Liye Rakhna Hai.

* 1 hour ke Baad Puri Shakkar Resolve ho Gaya Hai aur Shakkar ka Pani ho Gaya Hai.

* Gas pe  Pan Garam hone ke liye Rakhna Hai aur Pan me Ye Mishren Dalna Hai.

* Gas ki Flame ko Low Rakhna Hai and Stir it Continuously taki  Shakkar ka Pani pura Absorb ho Jaye.

* Shakkar ka Pani Puri Tarah Sukh Jane ke Baad Swadanusar Namak, Thodisi Haldi Powder, aur 1/2 Tspn Mirch Powder. Dalkar Mix Karna Hai.

* Lal Mirch Powder Optional Hai Lekin ise Dalne se Tikha on aata Hai Vo Lajavab hota Hai.

* Mix hone ke Baad 20-25 min tak pakana Hai.

* Jam ko aap Lagbhag 3 weeks tak Store Kar ke rakh sakte Hai.

* 25 min Baad Jam Pak Payega ab Ise Puri Tarah se Thanda hone dena Hai.

* Thanda hone ke Baad Ho Gaya Hai Kacche Aam Ka Jam Khane ke liye Tayyar.

                                   Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana. 
  
                            ~ THANK YOU ~




Post a Comment

0 Comments