New Recipes

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Kitchen IRANI

CHANA BESAN With Zinga

 


Ingredients :

• Sukhi Chane ki Sabji

• Haldi Powder

• Hara Dhaniya

• Besan

• Hari Mirch

• Namak

• Tel

• Jeera

• Lahsun

• Zinga 

                               Hello Everyone,  Aapka Swagat hai Kitchen IRANI Channel me.  Aaj ki Jo Dish Hai vo meri Favourite Dish me se Favourite Hai. Chana Sabji, aur Aaj humne Chana Sabji me Besan aur Zinga bhi Add Kiya Hai, Toh Iska Swaad badkar 4 guna ho Gaya Hai.

* Chana Besan banane ke liye Sabse Pehle Pan Garam hone ke liye rakhenge.

* Pan Garam hone ke baad isme 3 Tspn Tel Garam hone ke liye rakh Denge.

* Tel Garam hone tak Ek bade Bowl me Chana Sabji , Ek Bowl Besan aur Swadanusar Namak Dalkar acchese mix kar Lena Hai .

* Tel Garam hone ke baad isme Zinga dalenge aur 1 min tak Fry Karenge. Jyada fry Nahi Karna Hai nhi Toh Zinga Jal Jata Hai.

* Garam Tel me Lahsun Brown hone ke liye dalenge aur uparse thoda Jeera dalenge.

* Cuti hui Hari Mitch aur Haldi Dalkar Turant Pani Dal denge nhi Toh Haldi Jal jati Hai.

* 10 min tak Pani ko ubaal aane dena Hai.

* Ubaal aane ke baad Gas ki Flame ko Low Kar Lena Hai aur Chana Besan Ka mikshar thoda - thoda dalke mix Karna Hai. 

* Acchese mix Karna Hai taki Besan ki Gutliya na rage.

* Jo sirf Veg Khate Hai unke liye Tasty Chana Besan Khane ke liye Tayyar Hai.

* Jo Non-Veg Khate Hai vo Zinga ke Saath use jarur Try kare

* Ab Isme Fried Zinga dalenge aur mix kar Lenge. Aur 5 min tak pakne denge.

* Chana Besan with Zinga Ho Gaya Hai Khane ke liye Tayyar.

                             Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana. 



Post a Comment

0 Comments