New Recipes

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Kitchen IRANI

BAINGAN BHARTA

 


Ingredients :

• Baingan

• Hari Mirch

• Lahsun

• Pyaj

• Hara Dhaniya

• Namak

• Tel

                              Hello Everyone, Aapka Swagat hai Kitchen IRANI Channel me. Khane ke sath Kuch Tikha aur Chatpata ho to Khane Ka Maja Kuch aur hi hota Hai. Isliye Aaj Hum Banayenge Dhaba Style me Baingan Ka Bharta.

* Baingan Ka Bharta banane ke liye Sabse Pehle Tava Garam hone ke liye  Gas pe rakhna Hai

 * Tava Garam hone tak Baingan ko Slice me Cut Kar Lena Hai 

* Tava Garam hone ke baad Usme 2 Tspn Tel dalna hai aur Baingan ki Slice ko Garam Tave pe fry hone ke liye Rakhna Hai.

* 2 min baad Ek side fry hone Jane ke baad Slice ko Palta Lena Hai taki dusri side bhi Acchese Fry ho Jaye.

* Baingan ki Dusri side bhi Brown hone tak Fry Kar Lena Hai. Taki ye Kaccha na rage.

* Dono side se Fry hone ke baad Baingan Slice ko ek-ek Karke Morter piston me nikalenge, Hum use Tave pe bhi PreSs Karke Bharta bana sakte Hai, lekin hum thoda alag aur Tasty Tarike se banayenge

* Morter piston me Slice ko Nikalneke baad Tave pe Jo Bacha Tel Hai Usme Pyaj ko Fry Kar ke Lena Hai.

* Jab tak Pyaaj Brown hota Hai tab taj Baingan ko Morter piston me Barik kr Lenge, Usme Swadanusar Namak add Karna Hai 

* Bharta Jo Traditional Tarike se Kiya Jaya Hai O Chile pe ya Gas pe Bhun ke Kiya Jata Hai lekin humne Aaj Baingan ko Fry Karke banaya Hai.

* Ab Gas ki  Speed Full karni Hai aur

* Pyaj Fry hone ke baad isme Barik Kiya hua mishren mix Krke ise Dry hone tak Tave pe PreSs Karna Hai taki ye Dry ho sake.

* Baingan me Hari Mirch, Lahsun aur Hara Dhaniya Barik Karke Dalna Hai taki yebhi Think Tarike se Mix ho sake.

* Ho jyada Tikha khana Pasand nhi karte, unke liye Bina Mirch Ka Bharta  bhi Tasty banta Hai.

* Garnishing ke liye uparse Hara Dhaniya Dalenge jisse ki Khane aur char Chand lag Jaye aur Bharte ki Taste aur Ubharke aa Jaye 

* Ho Gaya Hai Dhaba Style Baingan Ka Bharta Khane ke liye Tayyar.

                               Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana. 



 






















Post a Comment

0 Comments