Ingredients :
* Chana Dal (1 hour bhigoke lena hai)
* Ghee/Oil/Dalda
* Gehu ka Aata
* Gud
* Elaichi Powder
* Pani
Hello Everyone, Aapka Swagat hai Kitchen IRANI Channel me. Agar Ghar Pe Achanak se Mehman Aa Gaye toh Hamesha hi Confusion Rehta hai ki khane me kya Banaye isliye aaj Hum Banayenge Instant Puran Poli.
* Instant Puran Poli banane ke liye sbse pehle Chana Dal, 1 Bowl Gud, Elaichi Powder aur Thodasa Pani dalkar Mixer me Grind kar lenge.
* Bade Bowl me 1 Chota bowl Gehu ka Aata, Gride kiya hua mixer, Haldi Powder (Optional) aur 1 Tspn Ghee ( Ghee ke alava aap yaha Tel ya Dalda bhi use kar sakte hai ).
* ISs mishran ko acchese fet lena hai taki ye acchese mix ho jaye. thoda - thoda Pani add karte hue ise mix karna hai. taki 1 bhi Gutli na rahe. isse batter ki consistancy ek sari ki hoti hai.
* Pan ko Gas par rakhkar Ghee se Grees kar lenge, Pan Garam ho jane ke baad usme Chammach se Batter Pan ke bicho bich dalna hai.
* Batter ko Pan ke upar circle shape me failana hai, aur dhakkan rakhkar 2 min. ke liye dhak kar pakana hai.
* 2 min. baad ise Ghee se Grees karna hai aur Palta lena hai
* Palta lene ke baad dusri side ko bhi Ghee se Grees karna hai. aur dono hi sides se acchese sekh lena hai.
* Ho gyi hai Garma Garam Instant Puran Poli Khane ke liye Tayyar.
Aap bhi Iss simple Recipe ko banake jarur khana, aur Hamare Blog pe Nayi Recipe Dekhne Phirse Aana.
0 Comments
Please Do Not Enter Any Spam Link in the Comment Box